Behkhudi nahi, h yeh kasmakash
Kuch pal aaye aur waqt Jesé theher hi gaya kambakhat
Na aankhe Mili , naa hi Andaaz,
na awaaz ki hui khanak,
bus hum to sirf khwab mei hi Gaye behak…kuch vaade hue aur kuch tabdiliya, Chund lamhe hi sahi lekin lazmi raha aapko kehna Humara shukriya!
Na tanhayee khatam hui aur na hi Milne ki arzoo lekin mil kar bhi akele hi rahe hum, na milke bhi Juda bhi toh nahi ho paye hum!
Humne mani shikast aur phir sunai gayee woh nazm jis me kabhi aap shamil the, lekin aaj usme woh ruh kaha, bus ek Mausam ka afzana suna aur tanhayee ki kahani !
Behkhudi nahi, h yeh kasmakash
Kuch pal aaye aur waqt Jesé theher hi gaya kambakhat
- writing after ages …Meghna
No comments:
Post a Comment