Dec 6, 2015

Raabta - reasons that heart knows not

Raabta - A song that brings me to tears... 

Kehte hain:
Khuda ne iss jahaan mein
Sabhi ke liye kisi na kisi ko hai banaaya
har kisi ke liye
Tera milna hai uss rab ka ishaara 
Maano mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye

Kuch toh hai tujh se raabta 
Kuch toh hai tujh se raabta
Kaise hum jaane, hume kya pata
Kuch toh hai tujh se raabta
Tu humsafar hai
Phir kya fikar hai
Jeene ki wajah hi yehi hai
Marna issi ke liye

1 comment:

  1. https://www.youtube.com/watch?v=XWyySPtj1w0

    Khamoshiyan aawaaz hain
    Tum sun'ne to aao kabhi
    Chhukar tumhe khill jaayengi
    Ghar inko bulaao kabhi
    Beqarar hain baat karne ko
    Kehne do inko zaraa.

    Khamoshiyan. teri meri khamoshiyan
    Khamoshiyan. lipti hui khamoshiyan

    Kya uss gali mein kabhi tera jaana hua
    Jahaan se zamaane ko guzre zamaana hua
    Mera samay toh wahin pe hai thehra hua
    Bataaun tumhe kya mere sath kya kya hua

    Khamoshiyan ek saaz hai
    Tum dhun koi laao zaraa
    Khamoshiyan alfaaz hain
    Kabhi aa gunguna le zara
    Beqarar hain baat karne ko
    Kehne do inko zaraa. haa.

    Khamoshiyan. teri meri khamoshiyan
    Khamoshiyan. lipti hui khamoshiyan

    Nadiya ka paani bhi khamosh behta yahaan
    Khili chandani mein chhipi lakh khamoshiyan
    Baarish ki boondon ki hoti kahaan hai zubaan
    Sulagte dilon mein hai khamosh uthta dhuaan

    Khamoshiyan aakaash hai
    Tum udne toh aao zara
    Khamoshiyan ehsaas hai
    Tumhe mehsoos hoti hai kya
    Beqarar hain baat karne ko
    Kehne do inko zara. haa.

    Khamoshiyan. teri meri khamoshiyan
    Khamoshiyan. lipti hui khamoshiyan

    ReplyDelete